Tuesday, July 7, 2009

Wasi Shah - Ghazal

Wussat-e-dasht-e-hijr dekh k dar jata hoon,

Tujh se aagay ka safr dekh k dar jata hoon,

Roz dhaltay huye suraj ki tarah shaam gaye,

Mei bhi aik dard k darya mei utar jata hoon,

Woh bhi cup chup si kaheen baith k roti ho gee,

Mei bhi raaton ko zara dair se ghar jata hoon,

Mei ne bhi jurm-e-baghawat k sitam jhilay hain,

Mei bhi ab log jidhar jayein udhar jata hoon,

Chal para hon mei zamananay k asoolon pe WASI,

Mei bhi ab apni baaton se mukar jata hoon ....

No comments:

Post a Comment