Ae Eeman Walo! Ruko-o-Sajdah kartay raho aur apnay rab ki ibadat mei lagay raho aur naik kaam kartay raho ta'kay tum kamyab ho jao"
(Surah Al-Hajj Ayat 77)
Hum zindagi ka 1/3 so kar guzartay hain ..
Nabi (S.A.W) ka farman hay:
Jo sotay huay sonay ki dua parh le, usay jitna waqt soyega ibadat ka sawab milay gaAllah Humma Bismika Amutu Wa Ahya
Bukhari Ma-al fatah jild#11, H:156
Hadees Pak:
Sab se behtar Musalmaan wo hai, jo bey-nateeja or fazool baaton ko chhor deta hai.
(Mouta Imam Malik, Muslim Sharif, Abu Daud)
Hadees Pak:
Tum Allah Talah, ki ibadat es tarah karo goya usay khud dekh rahay ho aur agar aisa mumkin na ho to kam se kam itna zarur yaken rakho k woh tumhain dekh raha hai.
(Bukhari, Muslim)
"Agar TAWAKAL SEEKHNA hai to PARINDON se SEEKHO, Jab Wo Sham ko GHAR WAPIS Jatay hain to un ki CHONCH mei kal k liye koi dana nahi hota"
(Hazrat Ali)
"Agr tumhain yakeen ho jaye k tumhara rizq Allah k pas hai to phir rizq ki talash na karo balkay Allah ki talash karo jis kay pas tumhara rizq hai"
(Hazrat Ali)
No comments:
Post a Comment