Monday, August 3, 2009

Jaano, aur jaantay raho

* Quran *

Amal ki kitab thhi, Dua ki kitab bana diya
Samajhnay ki kitab thhi, parhnay ki kitab bana diya
Zindon ka dastoor thha, Murdon ka manshoor bana diya
Inqilab ki kitab thhee, Sirf Sawab ki kitab bana diya
Jo ilm ki kitab thhi, Usay la ilmon k haathh thama diya
Tashkeer-e-kaynat ka dars dene aayi thhi, Sirf Madarason ka nisaab bana diya
Murda qomon ko zinda karnay aayi thhi, Murdon ko bakhshwaanay par laga diya
....


Hazrat Abdullah bin Haris (R.A) farmaatay hain k
"Mei ne Nabi Pak (S.A.W.W) se ziada muskuranay wala shakhs koi nahi dekha"


Ae mere RABB mei tujhay pukar k kabhi mehroom nahi raha (MARIUM-4)

Aye mere RABB! mere liye apnay pas jannat mei ghar bana dejiye (ALTEHREEM-11)


Dunya mei agar 4 cheezain tumharay paas hon to tumhara koi nuksan nahi hoga
1. Sachi Zuban
2. Amanat Daari
3. Khush Akhlaqi
4. Rizq-e-Halal

(HAZRAT ALI)



Huzoor (S.A.W.W) ne farmaya,
Tamam makhlook-e-Khuda kumba hai, Allah k nazdeek sab se mehboob woh hain jo uski makhlooq k saathh behtareen salook karain

ALLAH ki 4 rehmatain jo insan se bardasht nahi hoteen
1. Beti (Daughter)
2. Mehman (Guest)
3. Barish (Rain)
4. Bemari (Illness)

or 4 azab jo insan khushi se qubool karta hai
1. Sood
2. Jahaiz
3. Gheebat
4. Jhoot



Ek khubsoorat Aitbar

Agar ALLAH tumhari dua'ain puri kar raha hai to woh tumhara 'yaqeen' barha raha hai
Agar Dua'ain poori karnay mei dair kar raha hai to tumhara 'sabr' barha raha hai
Agar tumhari dua'aoon ka javab nahi de raha to woh tumhain azmaa raha hai


ALLAH ne 9 cheezon mei shifa rakhi hai.
1. Quran
2. Sadqa
3. Sila Rehmi
4. Surah Fateha
5. Safar
6. Shehad
7. Kalonji mei
8. Zam-Zam mei
9. Zeitun mei

No comments:

Post a Comment