Friday, August 7, 2009

Golden Words


Hadith-e-Pak / Quran / Hazrat Ali:


Mein us shakhs ko jannat mei ghar dilawanay ki zamanat deta hon jo jhagra chhor de khwah who har par ho (Abu Dawood)

Mei tumhain us aadmi kii pehchan bataata hoon jis par jahannam ki aag haram hai aur wo aag par haram hai:

Ye wo aadmi hai jo naram mizaj ho, naram tabeyat ho aur naram kho ho. (Tirmazi)

Khuda apnay banday ki madad mei tab tak laga rehta hai jab tak banda apnay bhai ki madad mei laga rehta hai. (Tirmazi)

Kisi musalmaan ki haajat poori karnay ka sawab 10 saal ki etkaaf se bhi ziada hai. (Tibrani)

Khuda un logon ko apna mehboob banata hai jo bohat paak-o-saaf rehte hain (Surah Tauba)

Jis darakht ki lakri naram ho ge us ki shaakhain ziada hon gee. Bas naram tabiyat or naram guftar ban jao ta k tumharay dost ziada hon (Hazrat Ali)

Ba-shaoor or Ba-zameer logon k darmyan rishta khoon ke rishtay se ziada mazboot hota hai. (Hazrat Ali)


18 Golden words of Hazrat Ali:

3 cheezon ka ehteram karo:

  1. Ustad
  2. Waaldain
  3. Bazurg

3 ko sath rakho:

  1. Sachai
  2. Eman
  3. Naiki

3 chezon ko yaad rakho:

  1. Ehsaan
  2. Nasehat
  3. Maut

3 cheezon k liye laro

  1. Watan
  2. Izzat
  3. Haq

3 cheezon par kaabu rakho

  1. Zubaan
  2. Ghussa
  3. Nafs

3 cheezon se bacho:

  1. Buraai
  2. Chughli
  3. Hasad

No comments:

Post a Comment