Thursday, August 13, 2009

Fun with Sardar & Faraz

Sardar: Jadon meri navi navi shadi hui c na tay menu apni biwi inni change lagdi c k dil karda c kha e javan

Dost: Tay hun?

Sardar: Kha e janda tay change c


 


 

Sardar ka RADIO kharab ho gaya, usne khol k dekha to andar 1 mara hua chooha mila. Ye dekh k sardar ghussay se bolay

'Ey lo. Chalay ga kaisay? Sala singer hee mara para hai …. '


 


 

Psychology k practical mei professor ne chuhay k aik taraf cake raka aik taraf chuhiya rakhi.

Chuha cake ki taraf lapka.

Cake badal kar Roti rakhi, Chuka roti ki taraf lapka.

Bar bar food change kiya laikin chuha har baar food kee taraf hee lapka

Professor: Is experiment se saabit hua k bhook sab se bari taaqat hai

Sardar Student: Sir ek baar chuhi b badal k dekh lain …


 


 

Boy: Agar mei mar gaya to kya tum dusri shadi kar lo gee?

Girl: Nahi, mei apni behen k saath reh loon gee

Girl: or agar mei mar gayee to?

Boy: To mei b tumhari behen k saath reh lon ga


 


 

Teacher: Translate into English:

In baarishon se dosti achhi nahi Faraz,

Kacha tera makan hai, kuchh to khyal kar ..

Sardar: Friendship with rains is not good good Faraz,

How cheap is your home, behave yourself!


 


 

Musafir: Bayta aap mujhe thora sa pani ppila dain ge?

Bacha: Agar lassi ho jaaye to?

Musafir: Tab to bohat hee achha hai …

Musaafir ne 5 piyaalay lassi peenay k baad bachay se poocha

'kya tumharay ghar mei koi lassi nahi peeta?'

Bacha: 'Peetay to sab hain laikin aaj lassi mei MENDAK gir gaya thha …

Musaafir ne ghussay se piyala zameen par de maara …

Bacha rotay huye bola:

'Ammi! Inhon ne pyaala tor diya … abb mera bhai Potty kis mei karay ga …. '


 


 

Ek train ulatnay ka case adaalat mei thha

Train ka driever jo k sardar thha us se poocha k tum ne train patri se Q utaari?

Sardar: O janab 1 banda saamnay aa gaya thha to brake maarnay ka time nahi thha .. Hamara assistant ne bola k is k oopar charha do

Wakeel: Phir???

Sardar: Wo banda patri se utar gaya … hum ne bhi train patri se utaar di …


 


 

No comments:

Post a Comment