Wednesday, July 22, 2009

Lo … Keh Diya!

Aap ki Kahani Meri Zubani

Ap k pas dimag hai, chalta nahi wo alag baat hai

Ap smart hain, koi manta nahi wo alag baat hai

Ap ameer hain, lagta nahi wo alag baat hai

Ap shareef hain, lagta nahi wo alag baat hai

Ap k pas cell fone hai, balance nahi wo alag baat hai

Kafi izzat hai ap ki, koi karta nahi wo alag baat hai

Mei ne to ye apki tareef ki hai, ap ko bisti lagay to ye alag baat hai …



Aik martaba Mirza Ghalib ka bistar par pishab nikal gaya to 1 shair kaha:

Nakami-e-Ishq mai kuchh yun dukhi hon Ghalib,

Aansu nikal rahay hain rasta badal badal kar …



Kabhi aati thi darwazay k peechhay se maa ki awaz

wah wah wah

Kabhi aati thi darwazay k peechhay se maa ki awaz

Kar li ho to aa k dho dun Bayta Faraz!!!



Uske bina bhi zindagi kat he jaye gee Faraz ..

Hasrat-e-Zindagi thha wo, Shart-e-Zindagi to nahi!!



Lahore aur bijli k halat par Faraz ghussay mei arz kartay hain!!

Lahore k halat dekh k rota hoon,

Raat ko mei sirf chaddi pehen k sota hoon!



Meethi Meethi yaadon ko palko pe saja lena

Sath guzray lamho ko dil mei basa lena

Meri jan mei washroom mei baitha hoon

Bijli aa jaaye to motor yaad se chala dena!!!

No comments:

Post a Comment